Friday, March 20, 2009

Hindi Sayari

#Khusnaseeb
main thoda ghareeb hoon, par woh mere kareeb hai
ya to main khushnaseeb hoon, ya woh kuchh ajeeb hai

#Baimani Shikwe
Taqdeer ka shiqwa be-mani jeena hi tujhe manzoor nahi
Aap apna muqaddar ban na sake itna to koi majboor nahi

#Hunar Jeene Ka
Jeene ka hunar seekhiye phoolon ki zaat se
Kaanton per reh kar bhi sada muskurate hai

#Dua
Ek teri tamanna ne kuchh aisa nawaaza hai
Maangi hi nahi jaati ab koi dua hum se

#Fasaana
tamaam rang mere aur saare Khvaab mere
fasaanaa kah ke fasaanaa banaa gayaa ek shaKhs

#Aansu
wakt ki anch pe pathar b pighal jatay hain
kehkahay toot k ansoo main badal jatay hain

#Sazza
Yoo'n jaa'n di wafaa may k qaatil tamaam umr...
Dil ki adaalato'n may sazaa dhoondta raha...!

#Yadon ki Barsih
Ye Boond Boond ki Baarish, Kissi ki Yaadon ki
Mere Yaqeen ka Kacha Makaan Giraeygi…!!!

#Khud pe Pyaar
aik to husn-e-mukammal, us pe husn-e-intekhaab!
un pe pyar aata hi tha, ab khud pe pyar aanay laga

#Lamhon ki khata ki
wo waqt bhi dekha hai tareekh ki nazroon mein
lamhon ne khata ki thi sadiyon ne saza payii

#Nadani
Muddaton Baad Uss BewaFa Ko Dekh Kar Faraz
Itna Roya Hoon Ke Socchu Toh Hunsi Aati Hai.

#Museebat
Youn na chup chap meray pass chala aya kar
badh gaya piyar to AIK roz museebat hogii

#Lehrein sir patakti hein
Na JanaY kIa kaha Tah dOobNe WaLY ne SaMundeR Se
k LehReIn Aj Tak SahIL pe AkeR SiR PaTakhTi haIn

#Yaad
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunai na gai,
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gai.
Sab ko hum bhool gaye josh-e-junoon main,
Lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi...

#Qissa-e-Gham yah dholak ki sada
Haal-e-dil Kisko Sunayien Ke Tere Shaher Ke Log
Qissa-e-Gham Ko Bhi Dholak Ki Sada Kehte Hain.

#Beqarari
le gaya cheen ke kon aaj tera sabr o qarar
beqarari tujhe ay dil kabhi aisee tou na thee..

#Pyare najar aane lage
aankh veeran, dil preshan, zulf barhum, lab khamosh
ab to woh kuch aur bhi piyaray nazar aanay lagay

#Samandar Udas hai
dekhi hai us ki aankh main pehli dafa nami
yun lag raha hai jaisay samandar udaas hai

#Teri yaad ka Badal
Rukta bhi nahi theek se chalta bhi nahi hai.
Yeh dil k teray baad sambhalta bhi nahi hai.
Is umer k sehra se teri yaad ka badal....
Talta bhi nahi hai or barasta bhi nahi hai.

#Zindagi ka Tamasha
ham deikhnay ka dhang samajhtay rahay Adeem
itnay mai zindagi ka tamasha guzar gaya..

No comments: