Thursday, March 19, 2009

Hindi Sayari

#Mere Mushkilon Ka Dhoka
Ayy Meri MUSHKILO’ON Tum nay phir Mujh ko DHOKA diya
Keh Ayyn Vaqt jab Dilchaspi Barhi to Tum ASAAN ho gayien…!

#Meethey Lafz ki karr'vaahatein
Ab Samajh laitay hain Meethay LAFZ ki Karr’vaahatien
Hoo giya hay Zindagi ka TAJURBA thora bohat…

#Muhobaat ek kahani hai
Muhobbat ek ehshnon ki pawan kahani hai
kabhi kabira dewwan tha kabhi meera diwani hai
yahaan sab log kehte hein meri aankhon mein aansu hein
jo tu samjah to mooti hai jo na samjah to paani hai

#Nayab
gum apni mohabbat main dono,nayab ho tum nayab hain hum
kya hum ko khuli ankhain dekhain,ik khwab ho tum ik khwab hain hum

#Fitrat
waise toh ek aansoo hi bahaa kar mujhe le jaye,
aise koi toofa.n hila bhi nahin sakta

#Ik tere rooth jane se
Ik teray rooth janay say, kisi ko kuch nahi hota
Phool bhi mehktay hai ,rang bhi damaktay hain
Suraj bhi nikalta hai,Tarre bhi chamaktay hain
Lakin itna zaroor hota hai aik teray rooth janay say
Koi Hansna bhool jata hai,KoiJeena bhool jata hai
ik teray rooth janay say ....

#Tere Yaad
Ranj Gham, Dard Alam, Yaas Tamanna, Hasrat
Ek TERI Yaad k hoonay say hay kya kya DIL mein…

#Yaad hai Jana
yaad hai jaanaa..
tum ne pichli baar kaha tha..
mujh ko bhool ke khush rehna hai..
tum ko tou main bhool na paaya..
laikin jaanaa..!
chupkey chupkey dukh sehta hoon..
ab main aksar khush rehta hoon...!!!

#Aansoo
Aanso gira jo aankh se taqdeer ne kaha
Miltey hain dekh khaak main yun aabro pasand

#Mazza barsaat ka chaho to
Mazza barsaat ka chaho to in aankho main aa behto
Wo barso main kabhi barsey ye barso se barasti hain...

No comments: