Tuesday, September 30, 2008

Hindi Sayari

#Maa
Is tarah mere gunaho'n ko vo dho deti hai,

Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai!!

#MAA
Dekh andhere tera munh kaala ho gaya;

Maa ne aankhein khol di, Ghar mein ujala ho gaya!!

#MAA

aik arsay se meri maa nahin soi taabish

main ne ik baar kaha tha mujhay darr lagta hay

#Main azad ho rahi hun

Jo mujh ko zinda jala rahe hain vo bekhabar hain..

ke meri zanjeer dheere-dheere pighal rahi hai

#Tarakki isko kehte hain

Buton shabash hai tarakki isko kahten hai

nou tarashe the to patthar ther, jo tarashe to khuda thahare.......

#main akela hun...?

Koi Duniyaa MeiN NahiN Mera

Mere Bare MeiN yeh log KahteiN HaiN

MaiN Mera Dard Aur Meri Tanhaiee

Jab Ki Harwaqt Saath Rahtein HaiN

#Kaun si manzil ka rasta hum main

Har ek paaon mujhe Raundete huye guzre,

Na jaane kaun si manzil ka rasta hoon main........

#Bina vade ke unka aana

mere haal pe unka muskrana gazab tha,

bina baat mujhe unka satana gazab tha,

milne ki baat chali to bahana banana,

aur bina vade se unka aana gazab tha!!!

#yeh iraada to nahi hai

Aaj Bari Shidat Se Yaad Aa Rahey Ho

Kahin Bicharnay Ka Irada To Nahin ..

#Kya zamana hai

Dil wohi rehte hein jazbat badal jate hein

Sochne walon ke andaz badal jate hein

Woh jo detay thay her baat pe hawala mera

Ab mere zikar pe woh baat badal jatay hein.

#Intezar
Ghazab Kiya, Tere Waade Pe Aitbaar Liya;

Tamaam Raat Hum ne, Qayamat Ka Intezar Kiya!!

#Kya zamana hai

Dil wohi rehte hein jazbat badal jate hein

Sochne walon ke andaz badal jate hein

Woh jo detay thay her baat pe hawala mera

Ab mere zikar pe woh baat badal jatay hein.

#Aankhen.
Aankein unchhi hui ti duaa baan gai,

Aankhein nichi hui to hayaa ban gai,

Jo jhuk kar uthi to khata ban gai,,

aur....uth kar jhuki to Adaa ban gai!!

#Aankhein.

aap jasi AANKHOO walay jub sahil per ajatay hain..

lehrein shoor machaa ti hain lo aaj samundar doob gya...

#Aansu

Ansoon nay ghamoon say ghabra ker

gir kay ankhoon say khud kushi kerli

#Aansu

suna hai usay jugnouon ki khuahish hai bohat ..

mein apni aankh mein aansu sajaye phirta hun..!

#Aansu

ab kay bars to barshay hi nahi rukti

faraz hum nay ansoo kia piay sary mossam ro diay

#Aansu

Bohat Hansa hoon, lateefay suna raha tha koi

Aab aansoo,n say rulaoo bada aandhaira hay

#Zindagi

zindagi is say zayada to nahee umr teri

bas kisyidost k milnay say juda honay tak

#Itni sazaa na de

Ya RUB mujh se cheen le meri sochain meray khiyaal

ya mujh ko zinda rehnain ki itnii sazaa naa de

#Aznabi tha to rooj mila karta tha

us ko ehsaas dilaya to milta hi nahii

ajnabi tha to rooz mila karta tha...

Ab wo mujhse meri her baat k maenay pohche

Jo meri soch ki tehreer parha karta tha.

#Aansu nahi aata

afsoos k koshish sy bhi aansu nahi aaty

roony k sewa jab koii chara nahi hota

#Sawal acha hai

maine poocha 'aakhir ye taghaaful kab talak?'

muskuraate hue bolay k 'sawaal acha hai!'

#Kuch to tha

Jab kuch nahi hota meray pass tab bhi kuch tha

main is waqt bhi hasi jab mujhay rona tha

#Saleeqa

Toofan se larne ka saleeqa hei zaroori

Hum haarne walon ki hamaayat nahin karte

#Andaz na aaya

sab aaib sahi mujh mein magar aaj bhi mujh ko

apnoo sy khafa hony ka andaaz na aaya

#Ab aur dua na do

Itna toota hoon ki choone se bikhar jaaonga,

Ab agar aur dua doge to mar jaaonga !

#Kitna acha ho

yeh zaroori to nahi lab pe sawal aa jaye

kitna acha ho unhen khud hi khayal aa jaye

#Sazza

HuM tOh dUsHaManoN kO BhI PaKeeZa SaZa DeTe HaiN

HaTh UthaTe nHi NaZaRon Se GirA deTe hAin ....

# Dua

Meri dua hai ke tu sab se naik seerat ho

Tera dil bhi terei tarha khoobsourat hoo

Dua se qabal miley tujh ko jo tu chahey

Ke khud dua ko terey haath ki zarorat ho.

#Ahsas k andaz

ahsas k andaz badal jatay hai warna

anchal bhi usi taar say banta hai kafan bhi

#Tujhse milne ki dua

Toot Jatay Hain Sabhi Rishtay Magar

Dil Say Dil Ka Rishta Apni Jagah

Dil Ko Hai Tujh Say Na Milnay Ka Yakeen

Par Tujh Say Milnay Ki Dua Apni Jagah....

#Woh hadsa tha

Woh hadsa tha k anso bhi saath dey na Sakay

Shikast-e-dil pay bohat dair tak main hasta raha

#Rony se kiya haasil

Rony se kiya haasil Ay Dil e Sodaai

Ankhoan ki bhi ruswaii Daaman ki bhi Ruswaii

Hum Loag Samundar ke bichary huey saahil hain

Is paar bhi tanhai us paar bhi tanhaaii.....

#Ishq samandar hai

yeh bhi mumkin hai kisi roz na pehchanoon use

woh jo har bar naya bhes badal leta hai

barha kaha tha mere yaroon ne'wasi'

ishq samandar hai bachoon ko nigal leta hai...

#Jine ki saza

Is main qismat ki khata hai na zamanay ka qasoor

Gham to insaan kay jinay ki saza hotay hain

#Koshish Mein Farak

Meri Apni Aur Uski Koshish Mein Sirf Itna Farak Hai

Mujhay sirf Woh Usse Sara Zamana Chahiay

#Jane kis gham ko chaupanay ki tamanNa hai uasay

Jane kis gham ko chaupanay ki tamanNa hai uasay

Aaj har baat par hanstay huay daikha us ko....

Janay kis ko mangnay jata hai duaon main kisay

Hath uthatay he sisaktay huay daikha us ko.....

#Faida

Rotey hain Dil K Zakhm to Hansta Nhi Koi

Itna To Faida Mujhey Tanhaion Se HAi

#Zindagi
Kuch to hai baat jo aati hai kaza ruk ruk ke

Zindagi Karz hai kiston me ada hoti hai

#Ab mein sota hon

Ra't Jago'n Sey Tang Aa Kar

Tanhaiyon Se Ghabra Kar

Mein Ney Eik Raat Apney Sarey Ghum

Apney Kamrey Ki Deewaroo'n Sey Keh Daley

Aur ab Mein Sota Hon

Deewarein Roti Hain.......

#Aadmi bulbula hai pani ka

aadmi bulbula hai pani ka

aur pani ki bahati satah par tootata bhi hai-doobta bhi hai

fir ubharta hai, fir se behta hai

na samander nigal saka isko

na taareekh tod paaye hai

waqt ki mauj par sadaa behta

aadmi bulbulaa hai pani ka

#Kaash

kaash aurooN ki tarrha mein bhi keh sakta

baat soon li hai meri, aaj khuda ne mere. ...

#Woh jo har kahin hai

Woh jo har kahin hai us par bhi to yakeen nahin hai

Rehta hai falak falak pe uska ghar bhi zameen nahin hai

Akal ka khayal agar ho to shakal se bhi haseen nahin hai

Pehle har jagah tha woh Suna hai ab kahin nahin hai....

#Phir koi khwahish na rahe

Kisi ek se karo pyar itna ki....

kisi aur se pyar krne ki gunjaaish na rahe..

Wo muskura de aapko dekhkr ek baar,

to zindagi se phir koi khwahish na rahe

#Tanhai

main aur mera khuda...

vo mandir me tanha, main sadko pe...

#Zakhmo ki numaish nahi hoti

hamdardi-e-ehbaab se dartaa hooN 'muzaffar'

maiN zaKHm to rakhtaa hooN numaaish nahin karta...