Tuesday, April 7, 2009

Hindi Sayari(On Maa'n by Munawwar Rana )

#1
Meri khwahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maa'n se is tarah liptun ki bachcha ho jaun

#2
Labon par uske kabhi bad'dua nahi hoti,
bas ek maa'n hai jo kabhi khafa nahi hoti...

#3
Is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai,
maa'n bahut gusee mein hoti hai to ro deti hai...

#4
Duaen MAA ki pohchaane ko milo-mil jati hai,
ke jab pardesh jane ke liye beta nikalta hai.

#5
Jab bhi kashti meri sailab mein aa jaati hai
maa'n dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

#6
tere daman mein sitare hain to hongein ai falak
mujhko mere maa'n ki maili oodhni acchi lagi

#7
woh to likha ke laai hai kismat mein jaagna
maa'n kaise so sakegi ki beta safar mein hai

#8
jara si baat hai lekin hawaa ko kon samjhaaye ,
ki meri maa'n diye se mere liye kaajal banaati hai

#9
Maine bulandiyon ke har nishaan ko chuaa...
Jab maa ne god mein uthaya to aasman ko chuaa!

#10
ye aisa karz hai jise mai ada kar hi nahi sakta,
mai jab tak ghar naa lautoon,meri maa 'nsajde me rehti hai

#11
Sakht Raahon me bhi aasaan safar lagta hai...
Yeh meri maa' ki duaaon ka asar lagta hai...

#12
kisii ko ghar milaa hisse meN yaa koii dukaaN aaii
maiN ghar meN sabse chhoTaa thaa mere hisse meN maa'n aaii

#13
Ae andhere dekhle munh tera kala hogaya
Maa'n ne aankhein khol di gahr me ujala hogaya

Hindi Sayari

#Masoom Kharidaar
Jee Chahta Hai Usay Muft Main Jaan De Doon Faraz
Itne Masoom Khareedar Se Kia Lena Dena ....

#Wafa
Mana K Tum Gutagu K Mahir Ho Faraz
Wafa K Lafz Pe Atko Tou Yaad Ker Lena

#Mujhko Khuda ne banaya hai
Mujhe Us Matti Se Khuda Ne Banaya Hy Faraz
Azal K Din Jo Reh Gai Thi Wafa K Waastey

#Zakhm
Shiddat-e-Dard Se Sharminda Nahi Meri Wafa Faraz
Dost Gehre Hon Tou Phir Zakhm Bhi gehre Honge

#Khud hi chal parro
Dasht-e-ghurbat mein tumhein kon pukare ga Faraz
Chal parro khud hi jidher dil ki sada le jaye

#Sare Mosam Ro Diye
Is dafa toh baarishen rukti nahin Faraz,
humne aansu kya piye..kay saaray mosam ro diye!!

#Mohabbat Khuda Se Karo
Mohaabt Ker Sakte Ho Tou Khuda Se Karo Faraz
Matti K Khilono'n Se Kabhi Wafa Nahi Milti

#Taaluk
Tujhsey faqat itna sa taaluk hai Faraz,
tu pareshan ho toh hamein neend nahee aati..!

#Chand Lamhon Ki Rahat
Aaj dil khol ke roye hain toh yuun Khush hain Faraz,
Chand lamhon kii ye raahat bhii barii ho jaise!!

#Umr Bhar ka shahara
Kon Deta Hy Umar Bhar Sahara Faraz
Log Tou Janazey Main Bhi Kaandhey Badalte Rehte Hyn

Saturday, April 4, 2009

HIndi Sayari

#Aur aapko aata kya hai
jo kaha ki pyaar aata hai mujhko tum par
hans k kehne lage, aur aapko ata kya hai

#Hamne mukarney nahi diya
usne hasi hasi mein mohabbat ki bat ki
phir yun ke humne mukerney na diya..

#Tanhayi
Sau baar chaman maih-ka Sau baar bahaar aayi !
Duniya ki wo-hii raunaq, dil ki wo-hii tanhaayii.....!!

#Zindagi
Sanson ke silsile ko na do zindugi ka naam....!
jeenay ke bawajood bhi kuch log marr gaye !!

#Zindagi
Mujh say haseen lafzo ki bandish na ho saki
Mai.n saadgi say zindagi ka raaz kah gaya....

#Duniyadaar
Bas mukaamal aql ka fankaar hota jaaonga !
Ek paheli ki tarha dushwaar hota jaaonga !!
Dheere dheere ho chalengi kam meri naadaniyan !
Dheere dheere main bhi duniyadaar hota jaaonga

#Imtehaan
Imtehaan aur mere zabt kaa tum kyaa loge
Mai-ne dharkan ko bhi siine me.n chupa rakh-kha hai
Dil tha ek shola magar beet gaye din vo “Qateel”
Ab kuredo na ise, raakh mei.n kyaa rakh-kha hai.

#Zindagi
Apnay jazbo ke saleeb aap uthaii hum ne.n..!
Zindagi sun to sahi kai-say bitaaii hum ne.n..!!
Mur ke deikha to rah-e-zeest ko tanha paya.!
Tab ye maloom howa, umr ga.nwai hum ne.n!!

#Gazal
ghazal mein bandish-o-alfaaz hi nahi kaafi
jigar ka khoon bhi kuch chahiye asar ke liye

#Zindagi
Allah zindagi se kahan tak nibhaoon main !
kis Bewafa ke sath mera naam likh dia .....!!

#Saza
hans hans ke zindagi ki dua de gaya mujhe
wo shaks bhi ajeeb saza de gaya mujhe

#Dil me amal jari hai
Na Jaane kitni Muddat se hay DIL mein yeh AMAL Jaari
Zarra si Theis lagti hai Zarra sa Toot jaata hai…!!!

#Hayaat ka maqsad
Zaroor kuch too hain apni hayaat ka maqsad!
Suna hain koi cheez dahar main fuzool nahi..!!

#Baht achi lagi
Hum bisat e Ishq per kab haartay Us se magar
Jaan kr khai hui matain bohat achi lagin!!

# Zabt K mosam
Hazar zabt k mosam guzar gay phir bhi
Sulag Raha hai koi Ansoo'on ki chadar main!!

#Agar woh puch lein hamse
Agar Wo Pooch Lain Ham Se, Tumhain Kis Baat Ka Gham Hai
To Phir Kis Baat Ka Gham Hai, Agar Wo Pooch Lain Ham Say

#Khuda jane
Der-hakeekat meray dil ki tamana tou kia jane,
Meray Dil Nay tuj ko chaha tery dil ki khuda jane.

#Barish k baad
us nay kaha tha k buhat roshan tumari ankhain hain
main kuch soch ker muskara dea tha
us bekhaber ko kya khaber k
barish k baad hi to aasman nikharta hay

#Bekar mujh me hai
main hoon kay aik pal ki bhi fursat nahi mujhay
wo hai kay aik umer say bekaar mujh main hai

#Husn ki tareef
Hum ko maloom nahi husn ki tareef magar
Meri Nazron main haseen wo hay jo tum jaisa hay

#Jurm
Hum wafain kar k rakhtay hain wafaon ki umeed
Dosti main iss kadar sooda gari b jurm hay

#Tanhai
har waqt meri khoj me rehti hain teri yaad.....
tune meri wajood ki tanhai bhi cheen li mujhse