Saturday, April 4, 2009

HIndi Sayari

#Aur aapko aata kya hai
jo kaha ki pyaar aata hai mujhko tum par
hans k kehne lage, aur aapko ata kya hai

#Hamne mukarney nahi diya
usne hasi hasi mein mohabbat ki bat ki
phir yun ke humne mukerney na diya..

#Tanhayi
Sau baar chaman maih-ka Sau baar bahaar aayi !
Duniya ki wo-hii raunaq, dil ki wo-hii tanhaayii.....!!

#Zindagi
Sanson ke silsile ko na do zindugi ka naam....!
jeenay ke bawajood bhi kuch log marr gaye !!

#Zindagi
Mujh say haseen lafzo ki bandish na ho saki
Mai.n saadgi say zindagi ka raaz kah gaya....

#Duniyadaar
Bas mukaamal aql ka fankaar hota jaaonga !
Ek paheli ki tarha dushwaar hota jaaonga !!
Dheere dheere ho chalengi kam meri naadaniyan !
Dheere dheere main bhi duniyadaar hota jaaonga

#Imtehaan
Imtehaan aur mere zabt kaa tum kyaa loge
Mai-ne dharkan ko bhi siine me.n chupa rakh-kha hai
Dil tha ek shola magar beet gaye din vo “Qateel”
Ab kuredo na ise, raakh mei.n kyaa rakh-kha hai.

#Zindagi
Apnay jazbo ke saleeb aap uthaii hum ne.n..!
Zindagi sun to sahi kai-say bitaaii hum ne.n..!!
Mur ke deikha to rah-e-zeest ko tanha paya.!
Tab ye maloom howa, umr ga.nwai hum ne.n!!

#Gazal
ghazal mein bandish-o-alfaaz hi nahi kaafi
jigar ka khoon bhi kuch chahiye asar ke liye

#Zindagi
Allah zindagi se kahan tak nibhaoon main !
kis Bewafa ke sath mera naam likh dia .....!!

#Saza
hans hans ke zindagi ki dua de gaya mujhe
wo shaks bhi ajeeb saza de gaya mujhe

#Dil me amal jari hai
Na Jaane kitni Muddat se hay DIL mein yeh AMAL Jaari
Zarra si Theis lagti hai Zarra sa Toot jaata hai…!!!

#Hayaat ka maqsad
Zaroor kuch too hain apni hayaat ka maqsad!
Suna hain koi cheez dahar main fuzool nahi..!!

#Baht achi lagi
Hum bisat e Ishq per kab haartay Us se magar
Jaan kr khai hui matain bohat achi lagin!!

# Zabt K mosam
Hazar zabt k mosam guzar gay phir bhi
Sulag Raha hai koi Ansoo'on ki chadar main!!

#Agar woh puch lein hamse
Agar Wo Pooch Lain Ham Se, Tumhain Kis Baat Ka Gham Hai
To Phir Kis Baat Ka Gham Hai, Agar Wo Pooch Lain Ham Say

#Khuda jane
Der-hakeekat meray dil ki tamana tou kia jane,
Meray Dil Nay tuj ko chaha tery dil ki khuda jane.

#Barish k baad
us nay kaha tha k buhat roshan tumari ankhain hain
main kuch soch ker muskara dea tha
us bekhaber ko kya khaber k
barish k baad hi to aasman nikharta hay

#Bekar mujh me hai
main hoon kay aik pal ki bhi fursat nahi mujhay
wo hai kay aik umer say bekaar mujh main hai

#Husn ki tareef
Hum ko maloom nahi husn ki tareef magar
Meri Nazron main haseen wo hay jo tum jaisa hay

#Jurm
Hum wafain kar k rakhtay hain wafaon ki umeed
Dosti main iss kadar sooda gari b jurm hay

#Tanhai
har waqt meri khoj me rehti hain teri yaad.....
tune meri wajood ki tanhai bhi cheen li mujhse

No comments: