Friday, September 10, 2010

..................

#Tere dunia ma ya rab zeest k samaan jaltay hain
fareb.e.zindagi ki aag ma insaan jaltay hain.........

#Apane kad ko kabhie chaadar se baRhaayaa naheeN karte
bas dikhaave ke liye hum ko saNvarnaa naheeN aata..

#Aziz itna hi rakho k dil behal jaye
ab iss qadar bhi na chaho k dum nikal jaye

#Meri ronay ki haqeeqat jis may thi
ek mudat tak wo khaghaz num raha

#Uss ne pocha kb se nahi soye..........
Main tab se raat jagny ka hisab liye phirta hon.........

#Na itna tot kay mileye kay dil per shak guzre
khulos main bhi zarori hai fasla rakhna

#ye aur baat k wo lab thy phool se nazuk
koi na seh sake lehja karakht aisa tha.

#Ek fakir ne zindgi ki kuch yun missal di,
muthi mai bhar kar raakh hawaoon ma ucchaal di

#Tum ruh mai bhi shamil ho rago mai bhi ravaan ho
mager mere haaton ki lakiroon mai kahan ho

#Mere aansu utha lete hain mere ghamon ka bojh,
Ye wo mohsin hain jo ehsan jataaya nhi kerte..

#Guzarte hain raah-e-ishq me saare he zamaane,
Milne ko taras jaana kabhi,kabhi taraste hue milna..

#Kitna karz chukana hoga khuda tere dar pe is zindgi ka..
maine to na chaahi thi.. ye zindgi jo tune di hai..!!

#Meri aankhon mein ansooun ko rehne ki adat si ho gayi hai
Ae Khuda ! tarap utha hun mein ab to is nadi ko thehra do

No comments: