*Yeh maana k Sheesha-e-Dil Raunaq-e-Bazaar-e-Ulfat hay
Magar jab TOOT jaata hay to QEEMAT aur hoti hay…!!!
*Kisi aur ko na MERE haal say na Gharz hay koi na Vaasta
MEIN bikhar gaya hoon SAMAIT lo, MEIN biggarr gaya hoon SANWAAR do…!!!
*Ranj Gham, Dard Alam, Yaas Tamanna, Hasrat
Ek TERI Yaad k hoonay say hay kya kya DIL mein…
*Hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hain
Tumhe nikal kar dekha to sub khasara hain
*Zabt-e-Ghum koi aasaan kaam nahi hai FARAZ
Aag hotay hain woh aanso jo piay jatay hain
*Mazza barsaat ka chaho to in aankho main aa behto
Wo barso main kabhi barsey ye barso se barasti hain
*Sawan bhaado saath (60) hi din hain, phir wo rut ki baat kahan
Apney ashk musalsal barsain apni si barsaat kahan
*Rehne Do Ab Key Tum Bhi Mujhey Padh Na Sako gay
Barsaat Mein Kaaghaz Ki Tarah Bheeg Gaya Hun
*Baarha mujhse kaha tha mere yaroon ne WASI
Ishq dariya hai bachoon ko nigal leta hai
*gum apni mohabbat main dono,nayab ho tum nayab hain hum
kya hum ko khuli ankhain dekhain,ik khwab ho tum ik khwab hain hum
*Is zindage main itni faragat kise naseeb
itna na yad aa kah tuje bhool jaeein ham
*Mohabbat ki kahani ho ya buzargon ki zeemenain
jo chor diya phir usse murr ker nahi dekha
*Wo to kucH Ho he gai tum say mohabat werna...
hum to wo khudsar hai k apnii bhi tamana na karein.
*Us ki aankhon mein mohabbat ka sitara ho ga
ek din aaye ga woh shakhs hamara hoga..
*AB Samajh laitay hain Meethay LAFZ ki Karr’vaahatien
Hoo giya hay Zindagi ka TAJURBA thora bohat…
*Kabhi lamha bhar bhi guftago meri us key sath na ho saki
Mujhy fursatin na mil sakin Wo hawa key rath pey sawaar tha
*EK Mehfil mein Kai Mehfilien hoti hain Shareek
Jiss ko bhi Pass say Daikho gay VOH TANHA ho ga...
*Rabte Had Se Ghuzar Jay To Gum Milte Hain
Isi Liye Aj Kal Hum Logon Se Kam Milte Hain
*Gae lamhaat fursat ke kahan se dhoond kar laon
wo pehron haath par likhna mohabbat mar nahin sakti
*Yehi bohat hai qayam rahay wafa ka bharam
koi kisi ka hua bhi hai umar bhar k liye?!?
*Dukh sab kay mushtariq thay magar hoslay judaa
koi bikhar gaya toh koi muskuradiyaa
*Koi khawaish naheen tuj say magar aay umr-e-rawan
mera bachpan, meri gudiya, meray jugnoo la de..
*Na jaane bheegi hain palke.n ye kyoon dam-e -rukhsat
raha hoon main to rahe ghum mein umr bhar tanha
*Hajoom-e-gam meri fitrat badal nahin sakta
Main kya karoon mujhe aadat he muskurane ki
*Yaad rakhne ke liye aur na bhulane ke liye
Ab woh milta hai sirf rasm nibhane ke liye
No comments:
Post a Comment