#1
Meri khwahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maa'n se is tarah liptun ki bachcha ho jaun
#2
Labon par uske kabhi bad'dua nahi hoti,
bas ek maa'n hai jo kabhi khafa nahi hoti...
#3
Is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai,
maa'n bahut gusee mein hoti hai to ro deti hai...
#4
Duaen MAA ki pohchaane ko milo-mil jati hai,
ke jab pardesh jane ke liye beta nikalta hai.
#5
Jab bhi kashti meri sailab mein aa jaati hai
maa'n dua karti hui khwaab mein aa jaati hai
#6
tere daman mein sitare hain to hongein ai falak
mujhko mere maa'n ki maili oodhni acchi lagi
#7
woh to likha ke laai hai kismat mein jaagna
maa'n kaise so sakegi ki beta safar mein hai
#8
jara si baat hai lekin hawaa ko kon samjhaaye ,
ki meri maa'n diye se mere liye kaajal banaati hai
#9
Maine bulandiyon ke har nishaan ko chuaa...
Jab maa ne god mein uthaya to aasman ko chuaa!
#10
ye aisa karz hai jise mai ada kar hi nahi sakta,
mai jab tak ghar naa lautoon,meri maa 'nsajde me rehti hai
#11
Sakht Raahon me bhi aasaan safar lagta hai...
Yeh meri maa' ki duaaon ka asar lagta hai...
#12
kisii ko ghar milaa hisse meN yaa koii dukaaN aaii
maiN ghar meN sabse chhoTaa thaa mere hisse meN maa'n aaii
#13
Ae andhere dekhle munh tera kala hogaya
Maa'n ne aankhein khol di gahr me ujala hogaya
1 comment:
aapki poems admire krne wali hain
Post a Comment