Saturday, December 20, 2008
Hindi Sayari
Thursday, October 16, 2008
Hindi Sayari
Woh Waqt Hii Nahii Aata Key Main Badal Jaoon,
Zamana Ik Zamaney Sey Intezaar Main Hai
#Tera naam ley ke pukaar loon
Kaiii ajnabi teri rah main mere pas se youn guzar gaye
Jinhein dekh ke yeh tarhap uthi tera naam ley ke pukaar loon
#Aadat hai sooraj ki
sham hoty hi dobty sooraj ki hy addat mohsin
subha hoty hi mere sath ubherty rehna...
#Mujay KHARAB ban kar mila karo
Na sawal ban kar mila karo , Na jawab ban kar mila karo
Meri zindagi meray khawab hain , Mujay Khawab ban kar mila karo
Mujay ACHAY log bohat milay , Mai to un k qarz se mar gaya
Jo ho sakay to kabhi kabhi , Mujay KHARAB ban kar mila karo
#Tanhaion ke darr se
khud apne se milne ka yara na tha mujh main
main bhir main gum ho gai tanhaion ke darr se
#Muhabbat meri aadat kar di
Ab to dushman k iradon pe bhi pyar aata hay
Teri ulfat ne muhabbat meri aadat kar di
#Mera aik aesa bhi dost hai
Mere ikk gosha- e- fikar main
meri zindagi se aziz ter
mera aik aesa bhi dost hai
jo kabhi mila...na juda hua
#Hum hain khusbu ..nishan nahi rakhte
Hum log teray shehr main Khushbou ki tarhan hain
Mehsos bhi hotay hain nishan bhi nahi rakhtay
#Tujhye aah se bachaun kaise
Main aap apni mout ka matum manaoun kaise
akhri saans tak tujhye aah se bachaun kaise
#Door tak roshni to ho gayi
Dard se dosti ho gayi yaaron
Zindagi bedard ho gayi yaaron
Kya huwa jo jal gaya aashiyana hamara
Door tak roshni to ho gayi yaaro
#Roona aya
kaun rota hai kise aur kay khatir ay dost
sab ko appney hi kise baat pay roona aya
#Usko khuda kehte hain
Saamne hai jo use log bura kehte hain.....
Jisko dekha nahi, usko khuda kehte hain
#Insan hi kafi hain
Qaid kerlia sanpo ko sapero ne ye keh ker,
ke insan hi kafi hain yaha dasne ke liye ....
#Janey kya soch ke
Zindagi musalsal Dard ka hai shahkar-e-Azeem,
Janey kya soch ke log jiney ki dua dete hain....
#Hum woh nahi
Apna zamana aap banatey hain Ehl-e-Dil,
ham wo nahi ke jinko zamana bana gaya...
#Usey kyon nahi kehte
Mujhe to Rok rahi ho uski pooja se,
usey kyon nahi kehte ke wo devta na lagey.....
Tuesday, September 30, 2008
Hindi Sayari
#Maa
Is tarah mere gunaho'n ko vo dho deti hai,
Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai!!
#MAA
Dekh andhere tera munh kaala ho gaya;
Maa ne aankhein khol di, Ghar mein ujala ho gaya!!
#MAA
aik arsay se meri maa nahin soi taabish
main ne ik baar kaha tha mujhay darr lagta hay
#Main azad ho rahi hun
Jo mujh ko zinda jala rahe hain vo bekhabar hain..
ke meri zanjeer dheere-dheere pighal rahi hai
#Tarakki isko kehte hain
Buton shabash hai tarakki isko kahten hai
nou tarashe the to patthar ther, jo tarashe to khuda thahare.......
#main akela hun...?
Koi Duniyaa MeiN NahiN Mera
Mere Bare MeiN yeh log KahteiN HaiN
MaiN Mera Dard Aur Meri Tanhaiee
Jab Ki Harwaqt Saath Rahtein HaiN
#Kaun si manzil ka rasta hum main
Har ek paaon mujhe Raundete huye guzre,
Na jaane kaun si manzil ka rasta hoon main........
#Bina vade ke unka aana
mere haal pe unka muskrana gazab tha,
bina baat mujhe unka satana gazab tha,
milne ki baat chali to bahana banana,
aur bina vade se unka aana gazab tha!!!
#yeh iraada to nahi hai
Aaj Bari Shidat Se Yaad Aa Rahey Ho
Kahin Bicharnay Ka Irada To Nahin ..
#Kya zamana hai
Dil wohi rehte hein jazbat badal jate hein
Sochne walon ke andaz badal jate hein
Woh jo detay thay her baat pe hawala mera
Ab mere zikar pe woh baat badal jatay hein.
#Intezar
Ghazab Kiya, Tere Waade Pe Aitbaar Liya;
Tamaam Raat Hum ne, Qayamat Ka Intezar Kiya!!
#Kya zamana hai
Dil wohi rehte hein jazbat badal jate hein
Sochne walon ke andaz badal jate hein
Woh jo detay thay her baat pe hawala mera
Ab mere zikar pe woh baat badal jatay hein.
#Aankhen.
Aankein unchhi hui ti duaa baan gai,
Aankhein nichi hui to hayaa ban gai,
Jo jhuk kar uthi to khata ban gai,,
aur....uth kar jhuki to Adaa ban gai!!
#Aankhein.
aap jasi AANKHOO walay jub sahil per ajatay hain..
lehrein shoor machaa ti hain lo aaj samundar doob gya...
#Aansu
Ansoon nay ghamoon say ghabra ker
gir kay ankhoon say khud kushi kerli
#Aansu
suna hai usay jugnouon ki khuahish hai bohat ..
mein apni aankh mein aansu sajaye phirta hun..!
#Aansu
ab kay bars to barshay hi nahi rukti
faraz hum nay ansoo kia piay sary mossam ro diay
#Aansu
Bohat Hansa hoon, lateefay suna raha tha koi
Aab aansoo,n say rulaoo bada aandhaira hay
#Zindagi
zindagi is say zayada to nahee umr teri
bas kisyidost k milnay say juda honay tak
#Itni sazaa na de
Ya RUB mujh se cheen le meri sochain meray khiyaal
ya mujh ko zinda rehnain ki itnii sazaa naa de
#Aznabi tha to rooj mila karta tha
us ko ehsaas dilaya to milta hi nahii
ajnabi tha to rooz mila karta tha...
Ab wo mujhse meri her baat k maenay pohche
Jo meri soch ki tehreer parha karta tha.
#Aansu nahi aata
afsoos k koshish sy bhi aansu nahi aaty
roony k sewa jab koii chara nahi hota
#Sawal acha hai
maine poocha 'aakhir ye taghaaful kab talak?'
muskuraate hue bolay k 'sawaal acha hai!'
#Kuch to tha
Jab kuch nahi hota meray pass tab bhi kuch tha
main is waqt bhi hasi jab mujhay rona tha
#Saleeqa
Toofan se larne ka saleeqa hei zaroori
Hum haarne walon ki hamaayat nahin karte
#Andaz na aaya
sab aaib sahi mujh mein magar aaj bhi mujh ko
apnoo sy khafa hony ka andaaz na aaya
#Ab aur dua na do
Itna toota hoon ki choone se bikhar jaaonga,
Ab agar aur dua doge to mar jaaonga !
#Kitna acha ho
yeh zaroori to nahi lab pe sawal aa jaye
kitna acha ho unhen khud hi khayal aa jaye
#Sazza
HuM tOh dUsHaManoN kO BhI PaKeeZa SaZa DeTe HaiN
HaTh UthaTe nHi NaZaRon Se GirA deTe hAin ....
# Dua
Meri dua hai ke tu sab se naik seerat ho
Tera dil bhi terei tarha khoobsourat hoo
Dua se qabal miley tujh ko jo tu chahey
Ke khud dua ko terey haath ki zarorat ho.
#Ahsas k andaz
ahsas k andaz badal jatay hai warna
anchal bhi usi taar say banta hai kafan bhi
#Tujhse milne ki dua
Toot Jatay Hain Sabhi Rishtay Magar
Dil Say Dil Ka Rishta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Say Na Milnay Ka Yakeen
Par Tujh Say Milnay Ki Dua Apni Jagah....
#Woh hadsa tha
Woh hadsa tha k anso bhi saath dey na Sakay
Shikast-e-dil pay bohat dair tak main hasta raha
#Rony se kiya haasil
Rony se kiya haasil Ay Dil e Sodaai
Ankhoan ki bhi ruswaii Daaman ki bhi Ruswaii
Hum Loag Samundar ke bichary huey saahil hain
Is paar bhi tanhai us paar bhi tanhaaii.....
#Ishq samandar hai
yeh bhi mumkin hai kisi roz na pehchanoon use
woh jo har bar naya bhes badal leta hai
barha kaha tha mere yaroon ne'wasi'
ishq samandar hai bachoon ko nigal leta hai...
#Jine ki saza
Is main qismat ki khata hai na zamanay ka qasoor
Gham to insaan kay jinay ki saza hotay hain
#Koshish Mein Farak
Meri Apni Aur Uski Koshish Mein Sirf Itna Farak Hai
Mujhay sirf Woh Usse Sara Zamana Chahiay
#Jane kis gham ko chaupanay ki tamanNa hai uasay
Jane kis gham ko chaupanay ki tamanNa hai uasay
Aaj har baat par hanstay huay daikha us ko....
Janay kis ko mangnay jata hai duaon main kisay
Hath uthatay he sisaktay huay daikha us ko.....
#Faida
Rotey hain Dil K Zakhm to Hansta Nhi Koi
Itna To Faida Mujhey Tanhaion Se HAi
#Zindagi
Kuch to hai baat jo aati hai kaza ruk ruk ke
Zindagi Karz hai kiston me ada hoti hai
#Ab mein sota hon
Ra't Jago'n Sey Tang Aa Kar
Tanhaiyon Se Ghabra Kar
Mein Ney Eik Raat Apney Sarey Ghum
Apney Kamrey Ki Deewaroo'n Sey Keh Daley
Aur ab Mein Sota Hon
Deewarein Roti Hain.......
#Aadmi bulbula hai pani ka
aadmi bulbula hai pani ka
aur pani ki bahati satah par tootata bhi hai-doobta bhi hai
fir ubharta hai, fir se behta hai
na samander nigal saka isko
na taareekh tod paaye hai
waqt ki mauj par sadaa behta
aadmi bulbulaa hai pani ka
#Kaash
kaash aurooN ki tarrha mein bhi keh sakta
baat soon li hai meri, aaj khuda ne mere. ...
#Woh jo har kahin hai
Woh jo har kahin hai us par bhi to yakeen nahin hai
Rehta hai falak falak pe uska ghar bhi zameen nahin hai
Akal ka khayal agar ho to shakal se bhi haseen nahin hai
Pehle har jagah tha woh Suna hai ab kahin nahin hai....
#Phir koi khwahish na rahe
Kisi ek se karo pyar itna ki....
kisi aur se pyar krne ki gunjaaish na rahe..
Wo muskura de aapko dekhkr ek baar,
to zindagi se phir koi khwahish na rahe
#Tanhai
main aur mera khuda...
vo mandir me tanha, main sadko pe...
#Zakhmo ki numaish nahi hoti
hamdardi-e-ehbaab se dartaa hooN 'muzaffar'
maiN zaKHm to rakhtaa hooN numaaish nahin karta...