Tuesday, August 31, 2010

.......................

#Yaado.n kii ek bhii.D mere saath chho.D kar
kyaa jaane vo kahaa.N merii tanhaa_ii le gayaa
~Rahat Indori

#Tere Bando ki Hashra aaraaieyaa dekhi nahi jaati
Khudavandaa bataa tere Jahaan ko kis tarah badlein...
~Akhtar Sheerani

#ek khushi, thode gham..
udaas kehkahe, aankhein nam!

#Ye baat ki suurat ke bhale dil ke bure ho.n
allaah kare jhuuTh ho bahuto.n se suunii hai
~Bashir Badr

#Ka_ii ajanabii terii raah ke mere paas se yuu.N guzar gaye
ji.nhe.N dekh kar ye ta.Dap hu_ii teraa naam leke pukaar luu.N
~Bashir Badr

#Ronewaalo.n se kah do unakaa bhii ronaa role.n
jinako majabuuri-e-haalaat ne rone na diiyaa
~Sudarshan Faakir

#yaade.n chalii.n Khayaal chalaa ashk-e-tar chale
lekar payaam-e-shauq ka_ii naamabar chale

[payaam = message; naamabar = messenger]
~Hosh Tirmazi

#Patthar ke Khudaa patthar ke sanam patthar ke hii insaa.N paaye hai.n
tum shahar-e-mohabbat kahate ho ham jaan bachchaakar aaye hai.n
~Sudarshan Faakir

#Mahiine vasl ke gha.Diyo.n kii suurat u.Date jaate hai.n
magar gha.Diyaa.N judaa_ii kii guzaratii hai mahino.n me.n
~Sir Mohammed Iqbal

#Mahafil me.n log chau.Nk pa.De mere naam par
tum muskuraa diye merii qiimat yahii to hai
~Hasim Raja

Wednesday, August 25, 2010

Sikayat

#Tumhara zarf hai tum ko mohabbat bhool jaati hai
humein to jis ney hans kar bhi pukara yaad rehta hai



#Aaja keh abhi zabt ka mosam nahin guzra
aaja keh pahaaron per abhi berf jami hai
khusboo ke jazeeron se paharoon ki hadon tak
is sheher main sab kuch hai bas teri kami hai



#Apne siva batao kabhi kuchh mila bhi hai tumhein
hazaar baar lee hain tumne mere dil ki talaashiyan...


#Pathar ke khuda, pathar ke sanam, pathar ke hi insaan paaye hain
tum shehar-e-mohabbat kehte ho, hum jaan bachaa kar aayen hain
~Sudarshan Fakir..


#BeruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii nahii.n
--Qateel Shifaai



#Ek pal main sadiyon ka maza hum se poocheye
do din ki zindagi ka maza hum se poocheye
bhoole hain rafta rafta unhe muddaton me hum
qistoon main khudkushee ka maza hum se poocheye


#Woh kar rahe the badi Saadgi se Sach ki baat,
Uff.. Uss waqt hamare haath mein Aaina nahi tha..!

#Aye pyaar bata.. Teri nazron ka Qaraar paaun kaise,
Kaise Dil mein utroon Toot kar chahoon kaise..!

#Tumhaare dil me.n kahaa.N merii yaad kaa paratau
vo ek halkaa saa baadal thaa chhaT gayaa hogaa
[paratau=shadow]
~Sufi Ghulam Mushtafa


#Phuulo.n kii aarazuu me.n ba.De zaKhm khaaye hai.n
lekin chaman ke Khaar bhii ab tak paraaye hai.n
~Abdul Hameed Adam


#Biitaa diid ummiid kaa mausam, Khaak u.Datii hai aa.Nkho.n me.n
kab bhejoge dard kaa baadal, kab barkhaa barasaaoge
~Faiz


#Tumhara zarf hai tum ko mohabbat bhool jaati hai
humein to jis ney hans kar bhi pukara yaad rehta hai

#Tumhaare dil me.n kahaa.N merii yaad kaa paratau
vo ek halkaa saa baadal thaa chhaT gayaa hogaa
[paratau=shadow]
~Sufi Ghulam Mushtafa

#Rasme ulfat hi ejazat nahi deti warna
hum bhi aisa tmhe bholen k sada yaad karo

#Ye Masroofiyat Chant Jaye To Tera Sath Bhi Paaonga..
Aisee Tasallee Mai Aksar Jeene Ka Sahara Hota Hai!!

Beautiful 2 lines :)

*Yeh maana k Sheesha-e-Dil Raunaq-e-Bazaar-e-Ulfat hay
Magar jab TOOT jaata hay to QEEMAT aur hoti hay…!!!


*Kisi aur ko na MERE haal say na Gharz hay koi na Vaasta
MEIN bikhar gaya hoon SAMAIT lo, MEIN biggarr gaya hoon SANWAAR do…!!!


*Ranj Gham, Dard Alam, Yaas Tamanna, Hasrat
Ek TERI Yaad k hoonay say hay kya kya DIL mein…

*Hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hain
Tumhe nikal kar dekha to sub khasara hain

*Zabt-e-Ghum koi aasaan kaam nahi hai FARAZ
Aag hotay hain woh aanso jo piay jatay hain

*Mazza barsaat ka chaho to in aankho main aa behto
Wo barso main kabhi barsey ye barso se barasti hain

*Sawan bhaado saath (60) hi din hain, phir wo rut ki baat kahan
Apney ashk musalsal barsain apni si barsaat kahan

*Rehne Do Ab Key Tum Bhi Mujhey Padh Na Sako gay
Barsaat Mein Kaaghaz Ki Tarah Bheeg Gaya Hun

*Baarha mujhse kaha tha mere yaroon ne WASI
Ishq dariya hai bachoon ko nigal leta hai

*gum apni mohabbat main dono,nayab ho tum nayab hain hum
kya hum ko khuli ankhain dekhain,ik khwab ho tum ik khwab hain hum

*Is zindage main itni faragat kise naseeb
itna na yad aa kah tuje bhool jaeein ham

*Mohabbat ki kahani ho ya buzargon ki zeemenain
jo chor diya phir usse murr ker nahi dekha

*Wo to kucH Ho he gai tum say mohabat werna...
hum to wo khudsar hai k apnii bhi tamana na karein.

*Us ki aankhon mein mohabbat ka sitara ho ga
ek din aaye ga woh shakhs hamara hoga..

*AB Samajh laitay hain Meethay LAFZ ki Karr’vaahatien
Hoo giya hay Zindagi ka TAJURBA thora bohat…

*Kabhi lamha bhar bhi guftago meri us key sath na ho saki
Mujhy fursatin na mil sakin Wo hawa key rath pey sawaar tha

*EK Mehfil mein Kai Mehfilien hoti hain Shareek
Jiss ko bhi Pass say Daikho gay VOH TANHA ho ga...

*Rabte Had Se Ghuzar Jay To Gum Milte Hain
Isi Liye Aj Kal Hum Logon Se Kam Milte Hain

*Gae lamhaat fursat ke kahan se dhoond kar laon
wo pehron haath par likhna mohabbat mar nahin sakti


*Yehi bohat hai qayam rahay wafa ka bharam
koi kisi ka hua bhi hai umar bhar k liye?!?


*Dukh sab kay mushtariq thay magar hoslay judaa
koi bikhar gaya toh koi muskuradiyaa


*Koi khawaish naheen tuj say magar aay umr-e-rawan
mera bachpan, meri gudiya, meray jugnoo la de..

*Na jaane bheegi hain palke.n ye kyoon dam-e -rukhsat
raha hoon main to rahe ghum mein umr bhar tanha

*Hajoom-e-gam meri fitrat badal nahin sakta
Main kya karoon mujhe aadat he muskurane ki

*Yaad rakhne ke liye aur na bhulane ke liye
Ab woh milta hai sirf rasm nibhane ke liye