Wednesday, May 5, 2010

..........

tum meri aankh k tevar na bhola paogay
ankahe baat ko samjho gay tu yaad aaonga

hum na khoshioon ki tarah ghum b ikhattay daikhay
safhaye zeest ko palto gay tu yaad aaonga

iss jodayee ma tum andar sa bikhar jaogay
kisi mazoor ko daikhoogay tu yaad aaonga

hadsay aaingay jeewan ma tu tum hogay nidhal
kisi deewar ko thamo gay tu yaad aaonga

ISS MA SHAMIL HA MERAY BAKHT KI TAREEKI B
TUM SIYAH RANG JU PEHNO GAY TU YAAD AAONGA

*.**.*

andheeri rahun k iss safar main
k jis ka unwaan zindagi hai

bohat se dushwaar marhale hain
ghamon k tareek silslay hain

dukhun se chalnii har ik khushi hai
bohat hi mushkil hai mere humdam

kuch aise rastun pe tanha chalna
mager jo mujh ko chala rehi hai
tumhaari YAADUN KI rooshni hai

.............

Wo Gumaan Gumaan Sa Qayas Sa
Kabhi Duur Sa Kabhi Paas Sa
Kabhi Chaandni Mein Chupa Hua
Kabhi Khushbuo’n Mein Basa Hua

Kabhi Sirf Us Ki Shabahatei’n
Kabhi Sirf Us Ki Hikayatei’n
Kabhi Sirf Milney k Silsiley
Kabhi Sirf Us Se Hyn Faasley

Kabhi Duur Chalti Hawao’n Mein
Kabhi Meena Barasti Ghatao’n Mein
Kabhi Bad-gumaan Kabhi Meherban
Kabhi Dhuup Hy Kabhi Saayebaan

Kabhi Band Dil Ki Kitaab Mein
Kabhi Lab-khushaan Wo Khwaab Mein
Kabhi Yun k Jese Sawal Ho
Kabhi Yun k Jese Khayal Ho

Kabhi Dekhny k Hyn Silsiley
Kabhi Sochney k Hyn Marhaley
Kabhi Sirf Rang-e-Bahaar Sa
Kabhi Sirf Ek Ghubaar Sa

Kabhi Dastaras k Qareeb Qareeb
Kabhi Duur Paas Kahi’n Nahi
Ye Jo Ukhraa Ukhraa Sa Shaks Hy ! ! !
Ye Jo Bikhra Bikhra Sa Shaks Hy ! ! !

*.******.*

ankho’n Mein Husht Rung Liye
Tamam Saman-e-Jung Liye
Utra Zameen-e-Dil Pe Wo
Masoom Adae’n Sung Liye
Mera Dil Wo Aise Le Udaa
Jese Hawa Chale Patang Liye
Phir Us Ka Ishq Tha Aur Deewangi
Dil Mein Ek Ajab Umang Liye
Jab Saadgi Ka Teer Chala
Zeher-e-Bewafai Ka Zung Liye
Tere Ishq Mein Marr Mitaa
Dehan Mein Zubaan Gung Liye

Jo Chala Muqadma Mere Khoon Ka
Tou Us Ne Kaha Mujhy Pata Nahi
Meri Saadgi Hi Mera Jurm Hy
Aur Koi Meri Khata Nahi

...........

Veeran Bohat Hoon Wasl Se Tashkeel Ker Mujhy
Tuu Mujh Se Pyaar Ker Zara Tabdeel Ker Mujhy

Sehra Ki Tapti Reath Se Aa Ker Mujhy Bachaa
Tuu Thandey Meethey Paani Ki Ek Jheel Ker Mujhy

Ho Jaaye’n Na Kharaab Kahi’n Meri Aadatei’n
Har Hukm Par Na Is Terha Tameel Ker Mujhy

Ab Is Terha Se Mujh Ko Adhuura Na Chorh Tuu
Main Hoon Tera Waada Tuu Ab Takmeel Ker Mujhy

Chuu Ker Mera Wajood Tajallu Si Bakhsh De
Main Ek Andheri Raat Hoon Qandeel Ker Mujhy

*.*.*.*

Suna Hai
Jab Hichki Aati Hy
Tou ! ! !
Koi Yaad Karta Hy
Agar Is Baat Main
Thori Si Bhi Haqeeqat Hai . . .
Tou ! ! !
Na-Mumkin Hy K . . .
Tumhari Hichki Ek Pal Bhi Rukti Ho . . .

..........

Mohabbat dukh tou deti hy
Magar ek baat kehni hy
K jisko chaha jata hy
Zaruri ye nahi hota
K usko pa liya jaye
Kabhi us k bicharney se
Mohabbat kam nahi hoti
Zara si dair pehly tou
Yehi ehsas hota hy
K koi jee nahi skta
Magar phir rafta rafta hii
Haqeeqat khulti jati hy
K . . .Mohabbat wo nahi hoti
K jis ko paa liya jaye
Mohabbat wo bhi hoti hy
Jo hamesha saath rehti hy
Kabhi dukh k andhero'n mein
Kabhi khushio'n k daaman mein
Kabhi wo aas deti hy
Kabhi umeed deti hy . .

Manzil

Chalo Hum Maan Lete Hyn
Tumhei'n Hum Kho Chukey Lekin
Tumhari Yaad Ab Tak Bhi
Humein Betaab Rakhti Hy
Humari saans Ab Tak Bhi
Tumhari Aas Rakhti Hy

Magar Ab Ye Bhi Sunte Hyn
Tumhari Raah Roshan Hy
Tumhe'n Bhi Mil Gaya Koi
Magar Afsos Hum Jesa
Agar Paao Kahi'n Tum Tou ! ! !
Mujhy Bas Itna Likh Dena k
. . . Mazil . . . Mil Gayi Mujh Ko

Intezaar

Sardiyo'n Ki Ek Hassen Raat
Halki Halki Baarish
Badal Ki Awaaz
Tap Tap Kerta Paani Ka Surr
Halki Halki Phuaar Ka Shor
Badan Ko Cheerti Hui Sard Hawa Ka Jhonka
Laltain Ki Damm Todti Lau
Jaise Meri Saanso'n Ki
Tarjumaan Thi
Mera Aakhri Waqt Bhi Kitna Haseen Tha
Par Is Mausam Ki Terha Udaas
Kuch Achaai Mujh Mein Nahi
Wafa Ka Paas Tou Hy Phir Mat Kehna
"Kuch Intizar Tou Kerty"